May 6, 2009

Lamhe... College ke lamhe

Nayein raahein, naya safar hai aane ko,
Tyaar hai hum bhi, zindagi ka agla padaav paane ko,
Par naa jaane kyun, aaj dil mein kuch aur aata hai
Samay ki dhaara ko yahin rokne ko mann chahta hai

Char saalon ka safar char palon mein beet gaya
Par lagta hai aaj bhi jaise, kuch peeche reh gaya
Kuch rishtey... kuch yaadein... nayi judd gayi
Wahi yaadein….. jo ab jeene ka sahara bann gayi

Jinn baaton ko lekar rote the, aaj unn par hastein hai
Aaj unn palon ko yaad kar, aankhein namm kiya karte hai
Wo miss calls ki gupshup, wo sms bharmaar
Wo Room calls, aur seniors ka pyar
Wo raat bhar saath jaagkar padhna
Aur bina matlab… kisi se bhi jhagadna
Wo anginat styles of timepass kaise bhuleinge
Wo haseen pal ab dobara kiske saath jiyenge
Wo first tech fair aur last trip ki masti
Chah kar bhi nahi bhulti
Kab hastein gaate ye pal beet gaye………..
Aaj to hum bhi college ke lamho ko yaad karte reh gaye…………

6 comments:

  1. Great poem..
    My contri..


    Woh CC ki parties,
    Woh birthday parties jinme kitno ko nehla diya,
    Woh BKS ke lectures.. jo kabhi samajh naa aaye,
    Woh TIC kee chai,
    Woh seniors ne jo lii thi ragging,
    Woh Kisaan mela anokha,
    Woh Badi market ke chakkar,
    Woh choti mein Sanjay ke parathay,
    Woh Library mein padhai ke bahane time pass,
    Bhulaye nahi bhool sakta hai koi..

    Woh PCT mein classes,
    Woh ED mein sabka makeup,


    Nice poem,, I enjoyed reading it ;-))
    And writing too ;-)))

    ReplyDelete
  2. gr88 bhai... tujhko bhi chalo tere/mere college ke pal yaad dila diye maine.. :)

    ReplyDelete
  3. well , gud poem...
    i will always remember the time we lived together n the masti we did , all these four yrs ....:)

    ReplyDelete
  4. yaa...of course..even i'll cherish these moments forever... :)

    ReplyDelete
  5. dint kno u can write so well!
    HATS OFF to u ..
    keep it up

    ReplyDelete
  6. "karoge yaad to har baat yaad aaegi...,
    guzarte waqt ki har mauj thehar jaegi..."
    yaar college k ye din hamesha yaad rahenge... masti unlimited...:)

    ReplyDelete